Thursday, January 13, 2011

Jinke naam Zindadilon me liye jaate hain

Jinke naam Zindadilon me, liye jaate hain
Wo bhi marne ke intzaar me bas jiye jaate hain
Falak pe ja ke ab unhe, zameen ki chah hai,
Tamanna azib hai par, log kiye jaate hain
Matalab to dekho inka, fakeeron ke bhes me,
Patthar ke har boot ko ye bhagwan kiye jaate hain
Havas ki aag me jo muhabbat jala chuke
wahi log bewafai ki duhaai diye jaate hain
Paida abhi hua mazhab nahi hai koi, magar
kabhi hindu use to kabhi musalmaan kiye jaate hain
Madhosh ho gaye pee pee ke “bekarar”
Poocha to ise dard ka naam diye jaate hain

No comments:

Post a Comment